Os PaDi Thi Raat Bahut Aur Kohra Tha Garmaish Par

os paDi thi raat bahut aur kohra tha garmaish par

saili si KHamoshi mein aawaz suni farmaish par

fasle hain bhi aur nahin bhi napa taula kuchh bhi nahin

log ba-zid rahte hain phir bhi rishton ki paimaish par

munh moDa aur dekha kitni dur khaDe the hum donon

aap laDe the hum se bas ek karwaT ki gunjaish par

kaghaz ka ek chand laga kar raat andheri khiDki par

dil mein kitne KHush the apni furqat ki aaraish par

dil ka hujra kitni bar ujDa bhi aur basaya bhi

sari umr kahan Thahra hai koi ek rihaish par

dhup aur chhanw banT ke tum ne aangan mein diwar chuni

kya itna aasan hai zinda rahna is aasaish par

shayad tin nujumi meri maut pe aa kar pahunchenge

aisa hi ek bar hua tha isa ki paidaish par

(2387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Os PaDi Thi Raat Bahut Aur Kohra Tha Garmaish Par In English By Famous Poet Gulzar. Os PaDi Thi Raat Bahut Aur Kohra Tha Garmaish Par is written by Gulzar. Read famous Poem Os PaDi Thi Raat Bahut Aur Kohra Tha Garmaish Par for youth and Student by Gulzar. Free Download Os PaDi Thi Raat Bahut Aur Kohra Tha Garmaish Par in PDF.