Kinare Par Koi Aaya Tha

kinare par koi aaya tha jis ka KHali bajra Dolta rahta hai pani par

koi utra tha bajre se

wo manjhi hoga jis ke panw ke maddham nishan ab tak dikhai de rahe hain gile sahil par

gaya tha kahkashan ke par ye kah kar

abhi aata hun Thahro us kinare par zara main dekh lun kya hai

ye bajra Dolta rahta hai is Thahre hue dariya ke pani par

wo lauTega ya main jaun

mujhe us par jaana hai

(2032) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kinare Par Koi Aaya Tha In English By Famous Poet Gulzar. Kinare Par Koi Aaya Tha is written by Gulzar. Read famous Poem Kinare Par Koi Aaya Tha for youth and Student by Gulzar. Free Download Kinare Par Koi Aaya Tha in PDF.