Nazm

basta phenk ke lo ji bhaga raushan-ara bagh ki jaanib

chillata chal guDDi chal

pakke jamun Tapkenge

aangan ki rassi se man ne kapDe khole

aur tannur pe la ke Tin ki chadar Dali

sare din ke sukhae papaD

lachchhi ne chadar mein lapeTe

bach gai rabba kiya karaya dhul jaana tha

KHairu ne khet ki sukhi miTTi

jhurriyon wale hath mein le kar

bhigi bhigi aankhon se phir upar dekha

jhum ke phir uTThe hain baadal

TuT ke phir meinh barsega

(2299) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Nazm In English By Famous Poet Gulzar. Nazm is written by Gulzar. Read famous Poem Nazm for youth and Student by Gulzar. Free Download Nazm in PDF.