ShaKHen

tha to sarsabz, wo pauda to hara tha

aur tandurust thin shaKHen bhi

magar us ka koi qad na nikal paya tha

go bahut sal wo sincha bhi gaya

mere mali ko shikayat thi

kabhi phul na aae us par

aur kai sal ke baad

mere mali ne use khod nikala hai zamin se

sare baghiche mein phaili hui nikli hain jaDen

barson pale hue rishte ki tarah

jis ki shaKHen to hari rahti hain lekin

us par, phul phal aate nahin

(1827) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

ShaKHen In English By Famous Poet Gulzar. ShaKHen is written by Gulzar. Read famous Poem ShaKHen for youth and Student by Gulzar. Free Download ShaKHen in PDF.