Urdu Zaban

ye kaisa ishq hai urdu zaban ka,

maza ghulta hai lafzon ka zaban par

ki jaise pan mein mahnga qimam ghulta hai

ye kaisa ishq hai urdu zaban ka

nasha aata hai urdu bolne mein

gilauri ki tarah hain munh lagi sab istelahen

lutf deti hai, halaq chhuti hai urdu to, halaq se jaise mai ka ghonT utarta hai

baDi aristocracy hai zaban mein

faqiri mein nawabi ka maza deti hai urdu

agarche mani kam hote hai urdu mein

alfaz ki ifraat hoti hai

magar phir bhi, buland aawaz paDhiye to bahut hi mo'tabar lagti hain baaten

kahin kuchh dur se kanon mein paDti hai agar urdu

to lagta hai ki din jaDon ke hain khiDki khuli hai, dhup andar aa rahi hai

ajab hai ye zaban, urdu

kabhi kahin safar karte agar koi musafir sher paDh de 'mir', 'ghaalib' ka

wo chahe ajnabi ho, yahi lagta hai wo mere watan ka hai

baDi shaista lahje mein kisi se urdu sun kar

kya nahin lagta ki ek tahzib ki aawaz hai, urdu

(2835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Urdu Zaban In English By Famous Poet Gulzar. Urdu Zaban is written by Gulzar. Read famous Poem Urdu Zaban for youth and Student by Gulzar. Free Download Urdu Zaban in PDF.