Saghar Mein Shakl-e-duKHtar-e-raz Kuchh Badal Gai

saghar mein shakl-e-duKHtar-e-raz kuchh badal gai

KHum se nikal ke nur ke sanche mein Dhal gai

sad-sala daur-e-charKH tha saghar ka ek daur

nikle jo mai-kade se to duniya badal gai

kahti hai nim-wa ye chaman ki kali kali

fariyaad-e-andalib kaleja masal gai

saqi idhar uTha tha udhar hath uTh gae

botal se kag uDa tha ki rindon mein chal gai

angDai le ke aur bhi wo soe chain se

phulon ki pankhiyan jo nasim aa ke jhal gai

daman mein duKHt-e-raz ne lagaya zarur dagh

jis parsa ki god mein ja kar machal gai

ghabra ke bole nama-e-'gustaKH' to nahin

jab un ke pas koi hamari ghazal gai

(1042) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saghar Mein Shakl-e-duKHtar-e-raz Kuchh Badal Gai In English By Famous Poet Gustakh Rampuri. Saghar Mein Shakl-e-duKHtar-e-raz Kuchh Badal Gai is written by Gustakh Rampuri. Read famous Poem Saghar Mein Shakl-e-duKHtar-e-raz Kuchh Badal Gai for youth and Student by Gustakh Rampuri. Free Download Saghar Mein Shakl-e-duKHtar-e-raz Kuchh Badal Gai in PDF.