Mauj-e-anfas Bhi Ek Tegh-e-rawan Ho Jaise

mauj-e-anfas bhi ek tegh-e-rawan ho jaise

zindagi kar-gah-e-shisha-garan ho jaise

dil pe yun aks-fagan hai koi bhuli hui yaad

sar-e-kohsar dhundalke ka saman ho jaise

hasil-e-umr-e-wafa hai bas ek ehsas-e-yaqin

wo bhi parwarda-e-aghosh-e-guman ho jaise

mujh se wo aankh churaata hai to yun lagta hai

sari duniya meri jaanib nigaran ho jaise

aaj 'ashar' se sar-e-rah mulaqat hui

koi darmanda-e-dil shoala-ba-jaan ho jaise

(690) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mauj-e-anfas Bhi Ek Tegh-e-rawan Ho Jaise In English By Famous Poet Habeeb Ashar Dehlavi. Mauj-e-anfas Bhi Ek Tegh-e-rawan Ho Jaise is written by Habeeb Ashar Dehlavi. Read famous Poem Mauj-e-anfas Bhi Ek Tegh-e-rawan Ho Jaise for youth and Student by Habeeb Ashar Dehlavi. Free Download Mauj-e-anfas Bhi Ek Tegh-e-rawan Ho Jaise in PDF.