Dil-e-tanha Mein Ab Ehsas-e-mahrumi Nahin Shayad

dil-e-tanha mein ab ehsas-e-mahrumi nahin shayad

teri duri bhi ab dil ke liye duri nahin shayad

jahan din mein andhera ho wahan raaton ka kya kahna

yahan ke chand suraj mein chamak hoti nahin shayad

main jab bistar se uThta hun to yun mahsus hota hai

mere andar ki duniya raat bhar soti nahin shayad

ye kis sahra ke kis goshe mein KHema tan baiThe hain

kisi bhi samt koi rahguzar jati nahin shayad

hum apni zindagi ki dhup mein tapne ke aadi hain

hamein ThanDi hawa barson se ras aati nahin shayad

'habib' is zindagi ke pech-o-KHam se hum bhi nalan hain

hamein jhuTe naginon ki chamak bhati nahin shayad

(663) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-tanha Mein Ab Ehsas-e-mahrumi Nahin Shayad In English By Famous Poet Habeeb Hyderabadi. Dil-e-tanha Mein Ab Ehsas-e-mahrumi Nahin Shayad is written by Habeeb Hyderabadi. Read famous Poem Dil-e-tanha Mein Ab Ehsas-e-mahrumi Nahin Shayad for youth and Student by Habeeb Hyderabadi. Free Download Dil-e-tanha Mein Ab Ehsas-e-mahrumi Nahin Shayad in PDF.