Aql Par Patthar PaDe Ulfat Mein Diwana Hua

aql par patthar paDe ulfat mein diwana hua

dil jo ek muddat se apna tha wo begana hua

kah gaya jo ji mein aaya aisa diwana hua

bund mein kam-zarf ka labrez paimana hua

sachchi baaton mein bhi hota hai qayamat ka asar

tazkira mera ajab dilchasp afsana hua

bad-numa samjha gaya paiwand-e-istighna-o-hirs

nang dalq-e-faqr-e-kashkol-e-gadayana hua

rang-e-KHullat se dil-e-shaida muraqqa ban gaya

ye KHuda ka ghar bhi is surat se but-KHana hua

muKHrib-e-buniyaad-e-asaish hai raftar-e-jahan

bastiyan ujDin kabhi aabaad virana hua

jaan hai mol us ka ai ishq-e-jawani jaan le

naqd husn-e-yusuf-sani ka baiana hua

tira-baKHti ki bala se yun nikalna chahiye

jis tarah suljha ke zulfon ko alag shana hua

jazb-e-dil ye hai ise kahte hain baatin ki kashish

un ke partaw se munawwar mera kashana hua

kya shikayat us ki sahab apna apna rang hai

ghair hain hum tum se jab ghairon se yarana hua

mil gae donon mein thi jalne ki quwwat ek san

mail-e-jinsiyyat se juzw-e-shama parwana hua

us ki shan-e-alam-arai pe ki jis dam nazar

gosha-e-uzlat mera darbar-e-shahana hua

qalib-e-KHaki mein saqi tu ne phunki hai ye ruh

qulqul-e-mina se paida shor-e-mastana hua

KHub hi rang-e-jawani sheb ne khoya 'habib'

mahw dil se bhi KHayal-e-ru-e-jaanana hua

(870) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aql Par Patthar PaDe Ulfat Mein Diwana Hua In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Aql Par Patthar PaDe Ulfat Mein Diwana Hua is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Aql Par Patthar PaDe Ulfat Mein Diwana Hua for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Aql Par Patthar PaDe Ulfat Mein Diwana Hua in PDF.