Bana Ke Aaina-e-tasawwur Jahan Dil-e-dagh-dar Dekha

bana ke aaina-e-tasawwur jahan dil-e-dagh-dar dekha

firaq mein lutf-e-wasl paya KHizan mein rang-e-bahaar dekha

tamam kaamon ka raste par hamesha dar-o-madar dekha

fasad tinat mein jin ki paya har ek sohbat mein KHar dekha

sambhaala jis din se hosh hum ne watan ko kul chand bar dekha

na ki azizon ki gham-gusari na phir ke apna dayar dekha

hue jo manus kaj-rawi se phire rah-e-sidq-o-rasti se

na baiThe ek roz wo KHushi se na kuchh ba-juz intishaar dekha

bisat-e-aish-o-tarab hai barham ye hai nasheb-o-faraaz-e-alam

piyaada hain un ko dekhte hum jinhen hamesha sawar dekha

paDi hai pichhe kuchh aisi shamat miTa rahe hain nishan-e-sarwat

bahut azizon ko bahr-e-shohrat ganwate apna waqar dekha

jama tha jis waqt rang-e-sohbat tha nek-o-bad mein bhi lutf-e-KHullat

magar KHizan aai ya qayamat na phul dekha na KHar dekha

dil-o-jigar ko hua gawara kahan surur-e-sharab-e-hasti

mila kabhi iztirar mein ye kabhi use be-qarar dekha

gaya wo daur-e-siyah-masti raha faqat nam-e-mai-parasti

jo zoaf-e-piri mein aankh kholi to kuchh tabiat pe bar dekha

'habib' hum ham-safir-e-bulbul hamesha the gulshan-e-jahan mein

wafa ki KHu bu ho jis mein wo gul nazar na aaya hazar dekha

(979) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bana Ke Aaina-e-tasawwur Jahan Dil-e-dagh-dar Dekha In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Bana Ke Aaina-e-tasawwur Jahan Dil-e-dagh-dar Dekha is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Bana Ke Aaina-e-tasawwur Jahan Dil-e-dagh-dar Dekha for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Bana Ke Aaina-e-tasawwur Jahan Dil-e-dagh-dar Dekha in PDF.