Kisi Ki Jubba-sai Se Kabhi Ghista Nahin Patthar

kisi ki jubba-sai se kabhi ghista nahin patthar

wo chaukhaT mom ki chaukhaT hai ya meri jabin patthar

khula ab rakhte hain pahlu main pinhan naznin patthar

na tha malum hain qalb-e-butan-o-mah-jabin patthar

biThaya KHatam-e-izzat pe tere nam-e-nami ne

wagarna hai ye zahir tha haqiqat mein nagin patthar

dikhae phir na kyun tasir apni jazb-e-ruhani

yaqin ho jae jab hajat-rawa hai bil-yaqin patthar

talash-e-yar mein kya KHar daman-gir himmat hon

hue nadim mile jab sadd-e-rah ban kar kahin patthar

jo main ai koh-kan dun jaan-e-shirin ishq-e-shirin mein

to dikhlae bajae shir ju-e-abgin patthar

gira dun faiz-e-eajaz-e-nubuwwat se wo momin hun

chhupaen phir muKHalif gar myan-e-astin patthar

pas-e-murdan rahe qalb-o-jigar mein gar yahi sozish

to lauh-e-sang-e-marmar hogi az KHud aatishin patthar

ye kahta hai kisi na-mehrban ka mehrban hona

pasijenge teri garmi se aah-e-atishin patthar

girin har sang-dil par bijliyan aisi hawadis ki

ki dete hain gawahi teri aah-e-atishin patthar

'habib' aae kahan se tazgi naKHl-e-mazamin mein

jahan tak dekhiye hai yak-qalam ye gul-zamin patthar

(724) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ki Jubba-sai Se Kabhi Ghista Nahin Patthar In English By Famous Poet Habeeb Musvi. Kisi Ki Jubba-sai Se Kabhi Ghista Nahin Patthar is written by Habeeb Musvi. Read famous Poem Kisi Ki Jubba-sai Se Kabhi Ghista Nahin Patthar for youth and Student by Habeeb Musvi. Free Download Kisi Ki Jubba-sai Se Kabhi Ghista Nahin Patthar in PDF.