Jab Koi Kali Sehn-e-gulistan Mein Khili Hai

jab koi kali sehn-e-gulistan mein khili hai

shabnam meri aankhon mein wahin tair gai hai

jis ki sar-e-aflak baDi dhum machi hai

aashufta-sari hai meri aashufta-sari hai

apni to ujalon ko tarasti hain nigahen

suraj kahan nikla hai kahan subh hui hai

bichhDi hui rahon se jo guzre hain kabhi hum

har gam pe khoi hui ek yaad mili hai

ek umr sunaen to hikayat na ho puri

do rose mein hum par jo yahan bit gai hai

hansne pe na majbur karo log hansenge

haalat ki tafsir to chehre pe likhi hai

mil jaen kahin wo bhi to un ko bhi sunaen

'jalib' ye ghazal jin ke liye hum ne kahi hai

(1607) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Koi Kali Sehn-e-gulistan Mein Khili Hai In English By Famous Poet Habib Jalib. Jab Koi Kali Sehn-e-gulistan Mein Khili Hai is written by Habib Jalib. Read famous Poem Jab Koi Kali Sehn-e-gulistan Mein Khili Hai for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Jab Koi Kali Sehn-e-gulistan Mein Khili Hai in PDF.