Teri Aankhon Ka Ajab Turfa Saman Dekha Hai

teri aankhon ka ajab turfa saman dekha hai

ek aalam teri jaanib nigran dekha hai

kitne anwar simaT aae hain in aankhon mein

ek tabassum tere honTon pe rawan dekha hai

hum ko aawara o bekar samajhne walo

tum ne kab is but-e-kafir ko jawan dekha hai

sehn-e-gulshan mein ki anjum ki tarab-gahon mein

tum ko dekha hai kahin jaane kahan dekha hai

wahi aawara o diwana o aashufta-mizaj

hum ne 'jalib' ko sar-e-ku-e-butan dekha hai

(2829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Aankhon Ka Ajab Turfa Saman Dekha Hai In English By Famous Poet Habib Jalib. Teri Aankhon Ka Ajab Turfa Saman Dekha Hai is written by Habib Jalib. Read famous Poem Teri Aankhon Ka Ajab Turfa Saman Dekha Hai for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Teri Aankhon Ka Ajab Turfa Saman Dekha Hai in PDF.