Us Gali Ke Logon Ko Munh Laga Ke Pachhtae

us gali ke logon ko munh laga ke pachhtae

ek dard ki KHatir kitne dard apnae

thak ke so gaya suraj sham ke dhundlakon mein

aaj bhi kai ghunche phul ban ke murjhae

hum hanse to aankhon mein tairne lagi shabnam

tum hanse to gulshan ne tum pe phul barsae

us gali mein kya khoya us gali mein kya paya

tishna-kaam pahunche the tishna-kaam lauT aae

phir rahi hain aankhon mein tere shahr ki galiyan

Dubta hua suraj phailte hue sae

'jalib' ek aawara uljhanon ka gahwara

kaun us ko samjhae kaun us ko suljhae

(1821) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Gali Ke Logon Ko Munh Laga Ke Pachhtae In English By Famous Poet Habib Jalib. Us Gali Ke Logon Ko Munh Laga Ke Pachhtae is written by Habib Jalib. Read famous Poem Us Gali Ke Logon Ko Munh Laga Ke Pachhtae for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Us Gali Ke Logon Ko Munh Laga Ke Pachhtae in PDF.