Meri Bachchi

meri bachchi main aaun na aaun

aane wala zamana hai tera

tere nanhe se dil ko dukhon ne

main ne mana ki hai aaj ghera

aane wala zamana hai tera

teri aasha ki bagiya khilegi

chand ki tujh ko guDiya milegi

teri aankhon mein aansu na honge

KHatm hoga sitam ka andhera

aane wala zamana hai tera

dard ki raat hai koi dam ki

TuT jaegi zanjir gham ki

muskuraegi har aas teri

le ke aaega KHushiyan sawera

aane wala zamana hai tera

sach ki rahon mein jo mar gae hain

fasle muKHtasar kar gae hain

dukh na jhelenge hum munh chhupa ke

sukh na luTega koi luTera

aane wala zamana hai tera

(1842) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Bachchi In English By Famous Poet Habib Jalib. Meri Bachchi is written by Habib Jalib. Read famous Poem Meri Bachchi for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Meri Bachchi in PDF.