Shahr-e-zulmat Ko Sabaat Nahin

ai nizam-e-kohan ke farzando

ai shab-e-tar ke jigar-bando

ye shab-e-tar jawedan to nahin

ye shab-e-tar jaane wali hai

ta-ba-kai tirgi ke afsane

subh-e-nau muskurane wali hai

ai shab-e-tar ke jigar-gosho

ai sahr-dushmano sitam-gosho

subh ka aaftab chamkega

TuT jaega jahl ka jadu

phail jaegi in dayaron mein

ilm-o-danish ki raushni har-su

ai shab-e-tar ke nigahbano

sham-e-ahd-e-ziyan ke parwano

shahr-e-zulmat ke sana-KHwano

shahr-e-zulmat ko sabaat nahin

aur kuchh der subh par hans lo

aur kuchh der koi baat nahin

(2255) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr-e-zulmat Ko Sabaat Nahin In English By Famous Poet Habib Jalib. Shahr-e-zulmat Ko Sabaat Nahin is written by Habib Jalib. Read famous Poem Shahr-e-zulmat Ko Sabaat Nahin for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Shahr-e-zulmat Ko Sabaat Nahin in PDF.