Zabta

ye zabta hai ki baatil ko mat kahun baatil

ye zabta hai ki girdab ko kahun sahil

ye zabta hai banun dast-o-bazu-e-qatil

ye zabta hai dhDakna bhi chhoD de ye dil

ye zabta hai ki gham ko na gham kaha jae

ye zabta hai sitam ko karam kaha jae

bayan karun na kabhi apne dil ki haalat ko

na laun lab pe kabhi shikwa-o-shikayat ko

kamal-e-husn kahun aib ko jahaalat ko

kabhi jagaun na soi hui adalat ko

ye zabta hai haqiqat ko ek fasana kahun

ye zabta hai qafas ko hi aashiyana kahun

ye zabta hai kahun dasht ko gulistan-zar

KHizan ke rup ko likkhun farogh-e-husn-e-bahaar

har ek dushman-e-jaan ko kahun main hamdam-o-yar

jo kaTti hai sar-e-haq wo chum lun talwar

KHata-o-jurm kahun apni be-gunahi ko

sahar ka nur likhun raat ki siyahi ko

jo miTne wale hain un ke liye dawam likhun

sana yazid ki aur shimr par salam likhun

jo Das raha hai watan ko na us ka nam likhun

samajh saken na jise log wo kalam likhun

darogh-goi ko sachchai ka payam kahun

jo rahzan hai use rahbar-e-awam kahun

mere junun ko na pahna sakoge tum zanjir

na ho sakega kabhi tum se mera zehn asir

jo dekhta hun jo sach hai karunga wo tahrir

mata-e-har-do-jahan bhi nahin baha-e-zamir

na de sakegi sahaara tumhein koi tadbir

fana tumhaara muqaddar baqa meri taqdir

(5309) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zabta In English By Famous Poet Habib Jalib. Zabta is written by Habib Jalib. Read famous Poem Zabta for youth and Student by Habib Jalib. Free Download Zabta in PDF.