Aa Jao Ki Mil Kar Hum Jine Ki Bina Dalen

aa jao ki mil kar hum jine ki bina Dalen

ye bar-e-hayat ai dost uThne ka nahin tanha

duniya pe musallat hai auham ki tariki

hum hain ki jalae hain ek sham-e-yaqin tanha

muhtaj-e-tawajjoh hain kuchh aur masail bhi

kyun zehn mein phirti hai ek nan-e-jawin tanha

har murgh-e-KHush-alhan ab parwaz pe mail hai

gulshan mein na rah jae sayyaad kahin tanha

sajde dar-e-jaanan par lakhon ne kiye lekin

mear-e-wafa Thahri meri hi jabin tanha

ek husn-e-tasawwur hai jo zist ka sathi hai

wo koi bhi manzil ho hum log nahin tanha

nazdik 'hafiz' is ke rind aaen to kya aaen

jagir hai zahid ki sarmaya-e-den tanha

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aa Jao Ki Mil Kar Hum Jine Ki Bina Dalen In English By Famous Poet Hafeez Banarasi. Aa Jao Ki Mil Kar Hum Jine Ki Bina Dalen is written by Hafeez Banarasi. Read famous Poem Aa Jao Ki Mil Kar Hum Jine Ki Bina Dalen for youth and Student by Hafeez Banarasi. Free Download Aa Jao Ki Mil Kar Hum Jine Ki Bina Dalen in PDF.