Jab Tasawwur Mein Koi Mah-jabin Hota Hai

jab tasawwur mein koi mah-jabin hota hai

raat hoti hai magar din ka yaqin hota hai

uf wo bedad inayat bhi tasadduq jis par

hae wo gham jo masarrat se hasin hota hai

hijr ki raat fusun-kari-e-zulmat mat puchh

shama jalti hai magar nur nahin hota hai

dur tak hum ne jo dekha to ye malum hua

ki wo insan ki rag-e-jaan se qarin hota hai

ishq mein marka-e-qalb-o-nazar kya kahiye

choT lagti hai kahin dard kahin hota hai

hum ne dekhe hain wo aalam bhi mohabbat mein 'hafiz'

aastan KHud jahan mushtaq-e-jabin hota hai

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Tasawwur Mein Koi Mah-jabin Hota Hai In English By Famous Poet Hafeez Banarasi. Jab Tasawwur Mein Koi Mah-jabin Hota Hai is written by Hafeez Banarasi. Read famous Poem Jab Tasawwur Mein Koi Mah-jabin Hota Hai for youth and Student by Hafeez Banarasi. Free Download Jab Tasawwur Mein Koi Mah-jabin Hota Hai in PDF.