KHafa Hai Gar Ye KHudai To Fikr Hi Kya Hai

KHafa hai gar ye KHudai to fikr hi kya hai

teri nigah salamat mujhe kami kya hai

bas ek tajalli-e-rangin bas ek tabassum-e-naz

riyaz-e-dahr mein phulon ki zindagi kya hai

KHuda-rasida sahi lakh barguzida sahi

jo aadmi ko na samjhe wo aadmi kya hai

abas ye mashq-e-ruku-o-sujud hai yaro

agar pata nahin mafhum-e-bandagi kya hai

kahin ye lutf-o-inayat ki ibtida to nahin

tumhin batao ye andaz-e-barhami kya hai

dilon ke tar jo chhu le wahi hai sher 'hafiz'

agar ye baat nahin hai to shairi kya hai

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHafa Hai Gar Ye KHudai To Fikr Hi Kya Hai In English By Famous Poet Hafeez Banarasi. KHafa Hai Gar Ye KHudai To Fikr Hi Kya Hai is written by Hafeez Banarasi. Read famous Poem KHafa Hai Gar Ye KHudai To Fikr Hi Kya Hai for youth and Student by Hafeez Banarasi. Free Download KHafa Hai Gar Ye KHudai To Fikr Hi Kya Hai in PDF.