Rah-e-irfan Mein Apne Hosh Ko Mail Samajhte Hain

rah-e-irfan mein apne hosh ko mail samajhte hain

hui jab be-KHudi tari use manzil samajhte hain

wufuq-e-shauq ko hai tang aqsa-e-do-alam bhi

faza-e-la-makan parwaz ke qabil samajhte hain

baqa zahir mein zarraat-e-adam ka ek hayula hai

haqiqat mein fana ko zist ka hasil samajhte

zamane ka asar hota nahin hai haal par apne

ki yaksan haalat-e-mazi-o-mustaqbil samajhte hain

(725) Peoples Rate This

Hafeez Fatima Barelvi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Rah-e-irfan Mein Apne Hosh Ko Mail Samajhte Hain In English By Famous Poet Hafeez Fatima Barelvi. Rah-e-irfan Mein Apne Hosh Ko Mail Samajhte Hain is written by Hafeez Fatima Barelvi. Read famous Poem Rah-e-irfan Mein Apne Hosh Ko Mail Samajhte Hain for youth and Student by Hafeez Fatima Barelvi. Free Download Rah-e-irfan Mein Apne Hosh Ko Mail Samajhte Hain in PDF.