Aaj Ki Raat

chandni raat hai jawani par

dast-e-gardun mein saghar-e-mahtab

nur ban ban ke chhan rahi hai sharab

saqi-e-asman piyala-ba-dast

main sharab-e-surur se sarmast

fikr-e-dozaKH na zikr-e-jannat hai

main hun aur teri pyari surat hai

ras-bhare honT mad-bhari aankhen!

kaun farda pe e'tibar kare

kaun jannat ka intizar kare

jaane kab maut ka payam aae

ye masarrat bhi hum se chhin jae

daman-e-aql chaak hone de

aaj ye qissa pak hone de

gham ko na-paedar kar den hum

maut ko sharmsar kar den hum

lab se lab yun milen ki kho jaen

jazb ek dusre mein ho jaen

main rahun aur na tu rahe baqi!

kis qadar dil-nashin hain lab tere

baada-e-ahmarin hain lab tere

tere honTon ka ras nahin hai ye

aab-e-kausar hai angbin hai ye

shahad ke ghunT pi raha hun main

aaj ki raat ji raha hun main

aaj ki raat phir na aaegi!

(1084) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Ki Raat In English By Famous Poet Hafeez Hoshiarpuri. Aaj Ki Raat is written by Hafeez Hoshiarpuri. Read famous Poem Aaj Ki Raat for youth and Student by Hafeez Hoshiarpuri. Free Download Aaj Ki Raat in PDF.