Arz-e-hunar Bhi Wajh-e-shikayat Ho Gai

arz-e-hunar bhi wajh-e-shikayat ho gai

chhoTa sa munh tha mujh se baDi baat ho gai

dushnam ka jawab na sujha ba-juz-salam

zahir mere kalam ki auqat ho gai

dekha jo kha ke tir kamin-gah ki taraf

apne hi doston se mulaqat ho gai

ya zarbat-e-KHalil se but-KHana chiKH uTha

ya pattharon ko marifat-e-zat ho gai

yaran-e-be-bisat ki har bazi-e-hayat

khele baghair haar gae mat ho gai

be-razm din guzar liya ratjaga manao

ai ahl-e-bazm jag uTho raat ho gai

nikle jo mai-kade se to masjid tha har maqam

har gam par talafi-e-mafat ho gai

hadd-e-amal mein thi to amal thi yahi sharab

radd-e-amal bani to mukafat ho gai

ab shukr na-qubul hai shikwa fuzul hai

jaise bhi ho gai basar-auqat ho gai

wo KHush-nasib tum se mulaqat kyun kare

darban hi se jis ki mudaraat ho gai

har ek rahnuma se bichhaDna paDa mujhe

har moD par koi na koi ghat ho gai

yaron ki barhami pe hansi aa gai 'hafiz'

ye mujh se ek aur buri baat ho gai

(1018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Arz-e-hunar Bhi Wajh-e-shikayat Ho Gai In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Arz-e-hunar Bhi Wajh-e-shikayat Ho Gai is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Arz-e-hunar Bhi Wajh-e-shikayat Ho Gai for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Arz-e-hunar Bhi Wajh-e-shikayat Ho Gai in PDF.