In Gesuon Mein Shana-e-arman Na Kijiye

in gesuon mein shana-e-arman na kijiye

KHun-e-jigar se dawat-e-mizhgan na kijiye

mar jaiye na kijiye zikr-e-bahisht-o-hur

ab KHwab ko bhi KHwab-e-pareshan na kijiye

baqi ho jo bhi hashr yahin par uThaiye

marne ke baad zist ka saman na kijiye

dozaKH ko dijiye na paragandagi meri

shiraaza-e-bahisht pareshan na kijiye

shayad yahi jahan kisi majnun ka ghar bane

virana bhi agar hai to viran na kijiye

kya naKHuda baghair koi Dubta nahin

mujh ko mere KHuda se pasheman na kijiye

hai but-kade mein bhi use iman ka KHayal

kyun e'tibar-e-mard-e-musalman na kijiye

hum se ye bar-e-lutf uThaya na jaega

ehsan ye kijiye ki ye ehsan na kijiye

aaina dekhiye meri surat na dekhiye

main aaina nahin mujhe hairan na kijiye

tu hi aziz-e-KHatir-e-ahbab hai 'hafiz'

kya kijiye agar tujhe qurban na kijiye

(898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Gesuon Mein Shana-e-arman Na Kijiye In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. In Gesuon Mein Shana-e-arman Na Kijiye is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem In Gesuon Mein Shana-e-arman Na Kijiye for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download In Gesuon Mein Shana-e-arman Na Kijiye in PDF.