Jawani Ke Tarane Ga Raha Hun

jawani ke tarane ga raha hun

dabi chingariyan sulga raha hun

meri bazm-e-wafa se jaane walo

Thahar jao ki main bhi aa raha hun

buton ko qaul deta hun wafa ka

qasam apne KHuda ki kha raha hun

wafa ka lazmi tha ye natija

saza apne kiye ki pa raha hun

KHuda-lagti kaho but-KHane walo

tumhaare sath mein kaisa raha hun

zahe wo gosha-e-rahat ki jis mein

hujum-e-ranj le kar ja raha hun

charagh-e-KHana-e-darwesh hun main

idhar jalta udhar bujhta raha hun

nae kabe ki buniyaadon se puchho

purane but-kade kyun Dha raha hun

nahin kanTe bhi kya ujDe chaman mein

koi roke mujhe main ja raha hun

hui jati hai kyun betab manzil

musalsal chal raha hun aa raha hun

'hafiz' apne parae ban rahe hain

ki main dil ko zaban pe la raha hun

(1641) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jawani Ke Tarane Ga Raha Hun In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Jawani Ke Tarane Ga Raha Hun is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Jawani Ke Tarane Ga Raha Hun for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Jawani Ke Tarane Ga Raha Hun in PDF.