Maut Ke Chehre Pe Hai Kyun Murdani Chhai Hui

maut ke chehre pe hai kyun murdani chhai hui

dekhna kaun aa gaya kyun Tal gai aai hui

koi badli to nahin ubhri ufuq par dekhna

phir faza-e-tauba par hai be-dili chhai hui

sikh duniya hi mein zahid hur se milne ke Dhang

warna roega ki jannat mein bhi ruswai hui

KHana-e-dil mein kisi parda-nashin ki aarzu

aarzu kya hai dulhan baiThi hai sharmai hui

ishq hai apni wafaon se bhi sharmaya hua

aql hai apni KHataon par bhi itrai hui

kash is misra ka tum ko pas hota ai 'hafiz'

ye bahaar aai hui aisi ghaTa chhai hui

(1071) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Ke Chehre Pe Hai Kyun Murdani Chhai Hui In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Maut Ke Chehre Pe Hai Kyun Murdani Chhai Hui is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Maut Ke Chehre Pe Hai Kyun Murdani Chhai Hui for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Maut Ke Chehre Pe Hai Kyun Murdani Chhai Hui in PDF.