MiTne Wali Hasraten Ijad Kar Leta Hun Main

miTne wali hasraten ijad kar leta hun main

jab bhi chahun ek jahan aabaad kar leta hun main

mujh ko in majburiyon par bhi hai itna iKHtiyar

aah bhar leta hun main fariyaad kar leta hun main

husn be-chaara to ho jata hai akasr mehrban

phir use aamada-e-be-dad kar leta hun main

tu nahin kahta magar dekh o wafa-na-ashna

apni hasti kis qadar barbaad kar leta hun main

han ye virana ye dil ye aarzuon ka mazar

tum kaho to phir ise aabaad kar leta hun main

jab koi taza musibat TuTti hai ai 'hafiz'

ek aadat hai KHuda ko yaad kar leta hun main

(929) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MiTne Wali Hasraten Ijad Kar Leta Hun Main In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. MiTne Wali Hasraten Ijad Kar Leta Hun Main is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem MiTne Wali Hasraten Ijad Kar Leta Hun Main for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download MiTne Wali Hasraten Ijad Kar Leta Hun Main in PDF.