AaKHiri Raat

siyahi ban ke chhaya shahr par shaitan ka fitna

gunahon se lipaT kar so gaya insan ka fitna

panahen husn ne pain siyahkari ke daman mein

wafadari hui ru-posh nadari ke daman mein

mayassar hain zari ke shamiyane KHush-nasibi ko

oDha di saya-e-diwar ne chadar gharibi ko

mashaqqat ko sikha kar KHubiyan KHidmat-guzari ki

huin be-KHauf be-imaniyan sarmaya-dari ki

liya aaghosh mein phulon ki sijon ne amiri ko

muhayya KHak hi ne kar diye aasan faqiri ko

taDapna chhoD kar chup ho gae ji haarne wale

maze ki nind soe taziyane marne wale

wo ruhani wo jismani uqubat kam hui aaKHir

ghulami beDiyon ke bojh se be-dam hui aaKHir

hue fariyaadiyon par band aiwanon ke darwaze

ki KHud muhtaj-e-darban hain jahan-banon ke darwaze

isi andaz se ja soi ghaflat baadshahon ki

surur o kaif ban kar chha gain ninden gunahon ki

sharaben KHatm kar ke ho gae KHamosh hangame

bil-aKHir nind aai so gae pur-josh hangame

thama jab zindagi ka josh parKHash-e-ajal jagi

amal ko dekh kar madhosh padash-e-amal jagi

uThaya maut ne patthar jahannam ke dahane se

jahan aatish ka dariya kholta tha ek zamane se

bulandi se tabahi ke samundar ne kiya dhawa

chaTanon ke jigar se phuT nikla aatshin-lawa

dikha di aag aiwanon ko mazlumi ki aahon ne

uThae shola-ha-e-atshin bekas nigahon ne

unhen muKHtar ban kar bekasi ke KHun ki maujen

hisar-e-marg ne mahsur kar lin jang jo faujen

na husn o ishq ne pai aman qahr-e-ilahi se

dabi padash amiri se faqiri se na shahi se

sitaron ki nigahon ne dhuan uThta hua dekha

magar KHurshid ne kuchh bhi na miTTi ke siwa dekha

(1351) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Raat In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. AaKHiri Raat is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem AaKHiri Raat for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download AaKHiri Raat in PDF.