Krishn Kanhayya

ai dekhne walo

is husn ko dekho

is raaz ko samjho

ye naqsh-e-KHayali

ye fikrat-e-ali

ye paikar-e-tanwir

ye krishn ki taswir

mani hai ki surat

sanat hai ki fitrat

zahir hai ki mastur

nazdik hai ya dur

ye nar hai ya nur

duniya se nirala

ye bansuri wala

gokul ka gwala

hai sehr ki eajaz

khulta hi nahin raaz

kya shan hai wallah

kya aan hai wallah

hairan hun kya hai

ek shan-e-KHuda hai

but-KHane ke andar

KHud husn ka but-gar

but ban gaya aa kar

wo turfa nazzare

yaad aa gae sare

jamuna ke kinare

sabze ka lahakna

phulon ka mahakna

ghanghor ghaTaen

sarmast hawaen

masum umangen

ulfat ki tarangen

wo gopiyon ke sath

hathon mein diye hath

raqsan hua brijnath

bansi mein jo lai hai

nashsha hai na mai hai

kuchh aur hi shai hai

ek ruh hai raqsan

ek kaif hai larzan

ek aql hai mai-nosh

ek hosh hai madhosh

ek KHanda hai sayyal

ek girya hai KHush-haal

ek ishq hai maghrur

ek husn hai majbur

ek sehr hai mashur

darbar mein tanha

lachaar hai kirishna

aa shyam idhar aa

sab ahl-e-KHusumat

hain dar pae izzat

ye raj dulare

buzdil hue sare

parda na ho taraj

bekas ki rahe laj

aa ja mere kale

bhaarat ke ujale

daman mein chhupa le

wo ho gai an-ban

wo garm hua ran

ghaalib hai duryodhan

wo aa gae jagdish

wo miT gai tashwish

arjun ko bulaya

updesh sunaya

gham-zad ka gham kya

ustad ka gham kya

lo ho gai tadbir

lo ban gai taqdir

lo chal gai shamshir

sirat hai adu-soz

surat nazar-afroz

dil kaifiyat-andoz

ghusse mein jo aa jae

bijli hi gira jae

aur lutf par aae

to ghar bhi luTa jae

pariyon mein hai gulfam

radha ke liye shyam

balram ka bhayya

mathura ka basayya

bindra mein kanhayya

ban ho gae viran

barbaad gulistan

sakhiyan hain pareshan

jamuna ka kinara

sunsan hai sara

tufan hain KHamosh

maujon mein nahin josh

lau tujh se lagi hai

hasrat hi yahi hai

ai hind ke raja

ek bar phir aa ja

dukh dard miTa ja

abr aur hawa se

bulbul ki sada se

phulon ki ziya se

jadu-asari gum

shorida-sari gum

han teri judai

mathura ko na bhai

tu aae to shan aae

tu aae to jaan aae

aana na akele

hon sath wo mele

sakhiyon ke jhamele

(1993) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Krishn Kanhayya In English By Famous Poet Hafeez Jalandhari. Krishn Kanhayya is written by Hafeez Jalandhari. Read famous Poem Krishn Kanhayya for youth and Student by Hafeez Jalandhari. Free Download Krishn Kanhayya in PDF.