Afsurdagi-e-dil Se Ye Rang Hai SuKHan Mein

afsurdagi-e-dil se ye rang hai suKHan mein

yani KHizan-rasida kuchh phul hain chaman mein

ghurbat mein bhi rahe hum yaron ki anjuman mein

yaad-e-watan ne rakkha aksar hamein watan mein

kya sans ka bharosa phir aae ya na aae

kab tak jalegi aaKHir ye shama anjuman mein

lakhon mein ek nikli waz-e-junun bhi apni

ab bhi rahe na dab kar hum un se bankpan mein

kya jaane kya wahan se laya KHushi ka muzhda

phula nahin samata qasid jo pairahan mein

jo chahte hain rahat likkhen wo haal-e-ghurbat

hum nang jaante hain KHat bhejna watan mein

shayad kuchh amn panw hathon se aasman ke

KHak us gali ki le kar malna mere kafan mein

go pir-zan hai muKHbir bais to hai ye aaKHir

aaluda dast-e-shirin hai KHun-e-kohkan mein

hum mai-kashon ko pi kar ye infial aaya

rasha paDa hua hai ek ek uzw-e-tan mein

KHana-KHarabi apni yaad aai ji bhar aaya

ujDa hua jo dekha ek aashiyan chaman mein

waiz teri zaban se ghibat buton ki sun kar

masjid se uTh ke pahunche hum dair-e-barahman mein

wo dil mein aur dil hai sau hasraton ka maskan

KHalwat mein anjuman hai KHalwat hai anjuman mein

shaer 'hafiz' tum se kaamil bahut hain lekin

kahte hain dard aisa paida kahan suKHan mein

(1009) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Afsurdagi-e-dil Se Ye Rang Hai SuKHan Mein In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Afsurdagi-e-dil Se Ye Rang Hai SuKHan Mein is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Afsurdagi-e-dil Se Ye Rang Hai SuKHan Mein for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Afsurdagi-e-dil Se Ye Rang Hai SuKHan Mein in PDF.