Dil Ko Isi Sabab Se Hai Iztirab Shayad

dil ko isi sabab se hai iztirab shayad

qasid phira hai le kar KHat ka jawab shayad

aankhen chaDhi hui hain baaten hain bahki bahki

aae ho tum kahin se pi kar sharab shayad

kya jaane kis hawa mein itna ubhar raha hai

hasti nahin samajhta apni habab shayad

mujh par jo wo sahar se is darja mehrban hain

shab ki dua hui hai kuchh mustajab shayad

bimar hun bandhi hai dhun raat-din safar ki

ghurbat mein apni miTTi hogi KHarab shayad

pichhle se wasl ki shab aasar subh ke hain

niklega raat hi se aaj aaftab shayad

aaya bahut dinon par zahid jo mai-kade mein

bhuli hui thi us ko rah-e-sawab shayad

barsat ki kami se kya qadr ghaT gai hai

aisi kabhi biki ho arzan sharab shayad

apne dimagh mein to ab ye basi hui hai

behtar tere pasine se ho gulab shayad

bazm-e-adu mein aa kar jis tarah hum jale hain

dozaKH mein ho kisi par aisa azab shayad

ashkon se tar hui thi yun raat sej un ki

yaad aa gaya tha koi hangam-e-KHwab shayad

ai shaiKH tu mila kar dekh un se umr apni

huron ka Dhal gaya ho ab to shabab shayad

tauba 'hafiz' mai ka paD jae jis ko chaska

phir us se marte dam tak chhuTe sharab shayad

(815) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Isi Sabab Se Hai Iztirab Shayad In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Dil Ko Isi Sabab Se Hai Iztirab Shayad is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Dil Ko Isi Sabab Se Hai Iztirab Shayad for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Dil Ko Isi Sabab Se Hai Iztirab Shayad in PDF.