Hafiz Wasl Mein Kuchh Hijr Ka KHayal Na Tha

'hafiz' wasl mein kuchh hijr ka KHayal na tha

wafur-e-aish mein andesha-e-maal na tha

bura hi kya hai baratna purani rasmon ka

kabhi sharab ka pina bhi kya halal na tha

naya hai ab ke baras kuchh bahaar ka aalam

junun ka zor to aisa guzishta-sal na tha

KHayal tum ne dilaya jo guzri baaton ka

malal ab wo hua pahle jo malal na tha

wo din hain yaad ki barson thi KHud-faramoshi

ye dhun kisi ki thi apna bhi kuchh KHayal na tha

tum aa gae ki meri jaan bach gai warna

kuchh aaj maut ke aane mein ehtimal na tha

koi to wajh-e-masarrat hai go kahen na kahen

ki yun 'hafiz' ka chehra kabhi bahaal na tha

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hafiz Wasl Mein Kuchh Hijr Ka KHayal Na Tha In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Hafiz Wasl Mein Kuchh Hijr Ka KHayal Na Tha is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Hafiz Wasl Mein Kuchh Hijr Ka KHayal Na Tha for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Hafiz Wasl Mein Kuchh Hijr Ka KHayal Na Tha in PDF.