Junun Ke Josh Mein Phirte Hain Mare Mare Ab

junun ke josh mein phirte hain mare mare ab

ajal laga de kahin gor ke kinare ab

gaya jo hath se wo waqt phir nahin aata

kahan umid ki phir din phiren hamare ab

ajab nahin hai ki phir aaj hum sahar dekhen

ki aasman pe ginti ke hain sitare ab

jab us ke hath mein dil hai meri bala jaane

mile wo panw se ya apne sar se ware ab

inayaton ki wo baaten na wo karam ki nigah

badal gae hain kuchh andaz ab tumhaare ab

ye Dar hai ho na sar-e-rahguzar hangama

samajh ke kijiye darban se kuchh ishaare ab

'hafiz' sochiye is baat mein hain do pahlu

kaha hai us ne ki ab ho chuke tumhaare ab

(761) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Ke Josh Mein Phirte Hain Mare Mare Ab In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Junun Ke Josh Mein Phirte Hain Mare Mare Ab is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Junun Ke Josh Mein Phirte Hain Mare Mare Ab for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Junun Ke Josh Mein Phirte Hain Mare Mare Ab in PDF.