Kahin Marne Wale Kaha Mante Hain

kahin marne wale kaha mante hain

wahi kar guzarte hain jo Thante hain

koi khel hai jaan par khel jaana

wo ye kah ke akasr hamein tante hain

mila ye jawab aaj rashk-e-adu par

jo mane hamein us ko hum mante hain

taDap kar idhar ho gaya koi ThanDa

udhar aap daman hi gardante hain

kahen kya shab-e-hijr kaTti hai kyun-kar

jo dil par guzarti hai hum jaante hain

mere dil ki kuchh qadr hogi unhin ko

jo khoTa khara KHub pahchante hain

ye fiqre ye chaalen ye ghaten ye baaten

tujhe o daghabaz hum jaante hain

adu se bhi hai sulh manzur achchha

jo ab tak na mani thi ab mante hain

'hafiz' us ki jis par hui mehrbani

usi ko zamane mein sab mante hain

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Marne Wale Kaha Mante Hain In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Kahin Marne Wale Kaha Mante Hain is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Kahin Marne Wale Kaha Mante Hain for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Kahin Marne Wale Kaha Mante Hain in PDF.