Kisi Ko Dekh Kar Be-KHud Dil-e-kaam Ho Jaana

kisi ko dekh kar be-KHud dil-e-kaam ho jaana

usi ko log kahte hain KHayal-e-KHam ho jaana

mohabbat se jo pesh aae koi ho dost ya dushman

hamein to har kisi ka banda-e-be-dam ho jaana

KHuda jaane ki kya hota maal apni mohabbat ka

bahut achchha hua aaghaz mein anjam ho jaana

miTana ho agar dhabba riya-kari ka ai zahid

kisi ki bazm mein ek din sharik-e-jam ho jaana

jahan dekho wahan kuchh zikr hai apni mohabbat ka

bura hai aadmi ke waste badnam ho jaana

karega raKHna paida koi din darban ka hangama

qayamat hai tere dar par hujum-e-am ho jaana

'hafiz' aise musalman ka bhi koi din-o-mazhab hai

buton ki dosti mein tarik-e-islam ho jaana

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ko Dekh Kar Be-KHud Dil-e-kaam Ho Jaana In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Kisi Ko Dekh Kar Be-KHud Dil-e-kaam Ho Jaana is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Kisi Ko Dekh Kar Be-KHud Dil-e-kaam Ho Jaana for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Kisi Ko Dekh Kar Be-KHud Dil-e-kaam Ho Jaana in PDF.