Likh De Aamil Koi Aisa Tawiz

likh de aamil koi aisa tawiz

yar ho jae gale ka tawiz

kab musaKHKHar ye hasin hote hain

sab ye be-kar hai ganDa-tawiz

na hua yar ka ghussa ThanDa

bar-ha dho ke pilaya tawiz

sar se gesu ki bala jati hai

lae to radd-e-bala ka tawiz

mar ke bhi dil ki taDap itni hai

shaq hua meri lahad ka tawiz

har tarah hoti hai mayusi jab

log karte hain dua ya tawiz

aarzu KHak mein dushman ki mile

is liye dafn kiya tha tawiz

hath se apne jo likkha us ne

hum ne us KHat ko banaya tawiz

jis se aaya hua dil ruk jae

koi aisa bhi hai laTka tawiz

dil pasija na kisi din un ka

roz likh likh ke jalaya tawiz

kaam lo jazb-e-mohabbat se 'hafiz'

naqsh kya chiz hai kaisa tawiz

(2197) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Likh De Aamil Koi Aisa Tawiz In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Likh De Aamil Koi Aisa Tawiz is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Likh De Aamil Koi Aisa Tawiz for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Likh De Aamil Koi Aisa Tawiz in PDF.