Ai Dil KHushi Ka Zikr Bhi Karne Na De Mujhe

ai dil KHushi ka zikr bhi karne na de mujhe

gham ki bulandiyon se utarne na de mujhe

ghar hi ujaD gaya ho to lutf-e-qayam kya

ai gardish-e-mudam Thaharne na de mujhe

maqsad ye hai sukun kisi surat na ho nasib

ai chaarasaz baat bhi karne na de mujhe

chehre pe khaal tak bhi na chhoDenge bad-nigah

ai mere KHair-KHwah sanwarne na de mujhe

hai dekhne ki chiz jo bismil ka raqs bhi

duniya ye chahti hai ki marne na de mujhe

ye daur sang-dil hi nahin tang-dil bhi hai

gar bas chale to aah bhi karne na de mujhe

ab bhi ye hausla hai ki kuchh kaam aa sukun

main TuT to gaya hun bikharne na de mujhe

(1223) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Dil KHushi Ka Zikr Bhi Karne Na De Mujhe In English By Famous Poet Hafeez Merathi. Ai Dil KHushi Ka Zikr Bhi Karne Na De Mujhe is written by Hafeez Merathi. Read famous Poem Ai Dil KHushi Ka Zikr Bhi Karne Na De Mujhe for youth and Student by Hafeez Merathi. Free Download Ai Dil KHushi Ka Zikr Bhi Karne Na De Mujhe in PDF.