AaKHir-e-kar Chale Tir Ki Raftar Qadam

aaKHir-e-kar chale tir ki raftar qadam

ghair manzil na paDe rah mein zinhaar qadam

uTh gae wasl ki shab peshtar-az-yar qadam

aage hum umr-e-rawan se bhi chale chaar qadam

ku-e-maqsud se yun rakhti hai ghaflat mujhe dur

jaise so jaane se ho jate hain be-kar qadam

ahl-e-alam mein hun main zindon mein murdon ki tarah

baDh chalen lakh magar sath hain do chaar qadam

ek muddat se rah-e-kaba mein aawara hain

kya KHuda ka mujhe dikhlaenge didar qadam

josh-e-wahshat mein bhi main chaDh ke na us par dauDa

le gae hasrat-e-KHar-e-sar-e-diwar qadam

surat-e-barg-e-KHizan jhaDte hain har gam gunah

jab uThate hain teri rah mein zawwar qadam

ai junun koh-o-bayaban bhi dikhla mujh ko

rahen pasti o bulandi se KHabar-dar qadam

kucha-gardi ye shab-o-roz ki be-wajh nahin

eDiyan ragDenge kis ke pas-e-diwar qadam

jada-e-rah-e-mohabbat ko KHat-e-mustar jaan

sar ke bal misl-e-qadam chal jo hon be-kar qadam

KHak bhi hun to hun KHak-e-dar us ka 'atish'

jis ke the dosh-e-payambar ke saza-war qadam

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHir-e-kar Chale Tir Ki Raftar Qadam In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. AaKHir-e-kar Chale Tir Ki Raftar Qadam is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem AaKHir-e-kar Chale Tir Ki Raftar Qadam for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download AaKHir-e-kar Chale Tir Ki Raftar Qadam in PDF.