KHwahan Tere Har Rang Mein Ai Yar Hamin The

KHwahan tere har rang mein ai yar hamin the

yusuf tha agar tu to KHaridar hamin the

be-dad ki mahfil mein saza-war hamin the

taqsir kisi ki ho gunahgar hamin the

wada tha hamin se lab-e-baam aane ka hona

saye ki tarah se pas-e-diwar hamin the

kanghi teri zulfon ki hamin par thi muqarrar

aaina dikhate tujhe har bar hamin the

neamat thi tere husn ki hisse mein hamare

tu kan-e-malahat tha KHaridar hamin the

sauda-zada zulfon ka na tha apne siwa ek

aazad do-alam tha giraftar hamin the

tu aur hum ai dost the yak-jaan do qalib

tha ghair siwa apne jo tha yar hamin the

bimar-e-mohabbat tha siwa apne na koi

ek mustahiq-e-sharbat-e-didar hamin the

be apne bahalti thi tabiat na kisi se

dil-soz hamin the tere gham-KHwar hamin the

ek jumbish-e-mizhgan se ghash aata tha hamin ko

do nargis-e-bimar ke bimar hamin the

jab chahte the lete the aaghosh mein tum ko

majbur se rah jate the muKHtar hamin the

hum sa na koi chahne wala tha tumhaara

marte the hamin jaan se bezar hamin the

bad-nam mohabbat ne teri hum ko kiya tha

ruswa-e-sar-e-kucha-o-bazar hamein the

dil Thokaren khata tha na har gam kisi ka

ek KHak mein milte dam-e-raftar hamin the

bhaDkane se 'atish' ko jalane lage ya to

altaf-o-inayat ke saza-war hamin the

(957) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwahan Tere Har Rang Mein Ai Yar Hamin The In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. KHwahan Tere Har Rang Mein Ai Yar Hamin The is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem KHwahan Tere Har Rang Mein Ai Yar Hamin The for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download KHwahan Tere Har Rang Mein Ai Yar Hamin The in PDF.