LaKHt-e-jigar Ko Kyunkar Mizhgan-e-tar Sambhaale

laKHt-e-jigar ko kyunkar mizhgan-e-tar sambhaale

ye shaKH wo nahin jo bar-e-samar sambhaale

diwana ho ke koi phaDa kare gareban

mumkin nahin ki daman wo be-KHabar sambhaale

talwar khinch kar wo KHun-KHwar hai ye kahta

munh par jo khate Darta ho wo sipar sambhaale

takiye mein aadmi ko lazim kafan hai rakhna

baiTha rahe musafir raKHt-e-safar sambhaale

yak dam na nibhne deti un ki tunak-mizaji

rakhte na hum tabiat apni agar sambhaale

wo naKHl-e-KHushk hun main is gulshan-e-jahan mein

phirta hai baghban bhi mujh par tabar sambhaale

har gam par KHushi se waraftagi si hogi

lana jawab-e-KHat ko ai nama-bar sambhaale

ya phir katar par us ke sayyaad ya chhuri pher

be-baal-o-par ne tere phir baal-o-par sambhaale

dard-e-firaq 'atish' taDpa raha hai hum ko

ek hath dil sambhaale hai ek jigar sambhaale

(1011) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

LaKHt-e-jigar Ko Kyunkar Mizhgan-e-tar Sambhaale In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. LaKHt-e-jigar Ko Kyunkar Mizhgan-e-tar Sambhaale is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem LaKHt-e-jigar Ko Kyunkar Mizhgan-e-tar Sambhaale for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download LaKHt-e-jigar Ko Kyunkar Mizhgan-e-tar Sambhaale in PDF.