Mere Dil Ko Shauq-e-fughan Nahin Mere Lab Tak Aati Dua Nahin

mere dil ko shauq-e-fughan nahin mere lab tak aati dua nahin

wo dahan hun jis mein zaban nahin wo jaras hun jis mein sada nahin

na tujhe dimagh-e-nigah hai na kisi ko tab-e-jamal hai

unhen kis tarah se dikhaun main wo jo kahte hain ki KHuda nahin

kise nind aati hai ai sanam tere taq-e-abru ki yaad mein

kabhi aashna-e-tah-e-baghal sar-e-murgh-e-qibla-numa nahin

ajab is ka kya na samaun main jo KHayal-e-dushman-o-dost hai

wo maqam hun ki guzar nahin wo makan hun ki pata nahin

ye KHilaf ho gaya aasman ye hawa zamane ki phir gai

kahin gul khile bhi to bund se kahin husn hai to wafa nahin

maraz-e-judai-e-yar ne ye bigaD di hai hamari KHu

ki muafiq apne mizaj ke nazar aati koi dawa nahin

mujhe zafran se zard-tar gham-e-hijr-e-yar ne kar diya

nahin aisa koi zamane mein mere haal par jo hansa nahin

mere aage us ko farogh ho ye majal kya hai raqib ki

ye hujum-e-jalwa-e-yar hai ki charagh-e-KHana ko ja nahin

chalen go ki saikDon aandhiyan jalen garche lakh ghar ai falak

bhaDak uTThe 'atish'-e-tur phir koi is tarah ki dawa nahin

(969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Dil Ko Shauq-e-fughan Nahin Mere Lab Tak Aati Dua Nahin In English By Famous Poet Haidar Ali Aatish. Mere Dil Ko Shauq-e-fughan Nahin Mere Lab Tak Aati Dua Nahin is written by Haidar Ali Aatish. Read famous Poem Mere Dil Ko Shauq-e-fughan Nahin Mere Lab Tak Aati Dua Nahin for youth and Student by Haidar Ali Aatish. Free Download Mere Dil Ko Shauq-e-fughan Nahin Mere Lab Tak Aati Dua Nahin in PDF.