Teri Zulfon Ne Bal Khaya To Hota
teri zulfon ne bal khaya to hota
zara sumbul ko lahraya to hota
ruKH-e-be-dagh dikhlaya to hota
gul-e-lala ko sharmaya to hota
chalega kabk kya raftar teri
ye andaz-e-qadam paya to hota
kahe jate wo sunte ya na sunte
zaban tak haal-e-dil aaya to hota
samajhta ya na ai 'atish' samajhta
dil-e-muztar ko samjhaya to hota
(1028) Peoples Rate This