Aamadani Aur KHarch

kiraya makan ka ada karne jaun

ki bazzaz o KHayyat ka bil chukaun

dawa laun ya doctor ko bulaun

ki main tex walon se pichha chhuDaun

KHuda-ra batao kahan bhag jaun

main is DheDh aane mein kya kya banaun

bahut baDh gaya hai makan ka kiraya

idhar nal ke aab-e-rawan ka kiraya

baqaya hai 'barq-e-tapan' ka kiraya

zamin par hai ab aasman ka kiraya

hai bachchon ki fees aur chanda zaruri

kutub copiyon ka pulanda zaruri

shikam-parwari ka hai dhanda zaruri

ye aadam ki ijad-e-banda zaruri

bala ke masarif hain kya tab laun

main is DheDh aane mein kya kya banaun

azizon ki imdad mehman-nawazi

gharibon ko KHairaat ehsan-taraazi

KHurak aur poshak mein duniya-sazi

idhar film ka shauq aur udhar ishq-bazi

zaruri yahan cigarette aur pan bhi hai

adalat mein jaane ka imkan bhi hai

hai bhangi bhi dhobi bhi darban bhi hai

aur ek saDi wale ki dukan bhi hai

kahan jaun kis kis se pichha chhuDaun

main is DheDh aane mein kya kya banaun

hain mele bhi islami tyauhaar bhi hain

hum aise mawaqe pe KHuddar bhi hain

bahut KHarch karne ko tayyar bhi hain

bala se jo be-barg-o-be-bar bhi hain

kise dastan-e-masarif sunaun

main is DheDh aane mein kya kya banaun

(1079) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aamadani Aur KHarch In English By Famous Poet Haji Laq Laq. Aamadani Aur KHarch is written by Haji Laq Laq. Read famous Poem Aamadani Aur KHarch for youth and Student by Haji Laq Laq. Free Download Aamadani Aur KHarch in PDF.