Be-sud Ek Silsila-e-imtihan Na Khol

be-sud ek silsila-e-imtihan na khol

sab dekh dekhta hi chala ja zaban na khol

andar ka hi na ho zara bahar bhi dekh le

dil KHun hai to aankh pe KHunin saman na khol

ek gard chhaegi tere momi dimagh par

thamne de aandhiyon ko abhi khiDkiyan na khol

chhup jaega kahan tere hisse ka aaftab

ai saya-gard sar pe koi saeban na khol

imkan ho to kar le hawa se musalahat

be-faeda hai warna koi baadban na khol

un se yaqin ki daulat-e-nayab mang tu

aankhon pe apni koi fusun aur guman na khol

'manzur' harf harf qalam ka hisab de

lekin fuzul daftar-e-sud-o-ziyan na khol

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-sud Ek Silsila-e-imtihan Na Khol In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Be-sud Ek Silsila-e-imtihan Na Khol is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Be-sud Ek Silsila-e-imtihan Na Khol for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Be-sud Ek Silsila-e-imtihan Na Khol in PDF.