Muntashir Sayon Ka Hai Ya Aks-e-be-paikar Ka Hai

muntashir sayon ka hai ya aks-e-be-paikar ka hai

muntazir ye aaina kya jaane kis manzar ka hai

reza reza raat bhar jo KHauf se hota raha

din ko sanson par abhi tak bojh us patthar ka hai

wo kisi farhang ka qaidi na ab tak ho saka

wo shikasta lafz meri ruh ke andar ka hai

har koi hone laga hai din ko KHwabon ka asir

KHauf har ek aankh mein ek dur ke manzar ka hai

dekh kar bhi kya kare 'manzur' us ka karb hai

wo to juz aankhon ke sar se panw tak marmar ka hai

(1048) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muntashir Sayon Ka Hai Ya Aks-e-be-paikar Ka Hai In English By Famous Poet Hakeem Manzoor. Muntashir Sayon Ka Hai Ya Aks-e-be-paikar Ka Hai is written by Hakeem Manzoor. Read famous Poem Muntashir Sayon Ka Hai Ya Aks-e-be-paikar Ka Hai for youth and Student by Hakeem Manzoor. Free Download Muntashir Sayon Ka Hai Ya Aks-e-be-paikar Ka Hai in PDF.