Baad-e-sarsar Hai Nasim-e-gulistan Mere Liye

baad-e-sarsar hai nasim-e-gulistan mere liye

ban gaya kunj-e-qafas ab aashiyan mere liye

zahido tum ko mubarak KHana-kaba rahe

kafi hai sajde ko sang-e-astan mere liye

saghar-o-mina subu-o-jam ka ab zikr kya

dushman-e-jaan ho gaya pir-e-mughan mere liye

wah re gardun-e-gardan tera shauq-e-intizam

ho gai hai zindagi bar-e-garan mere liye

dard-e-dil kahne ko aaya hun sarapa dard hun

ho ata kuchh waqt bahr-e-dastan mere liye

hasrat-e-sozan se takti hai use barq-e-tapan

shaKH-e-gulshan par bana jo aashiyan mere liye

(773) Peoples Rate This

Hakeem Mohammad Husain Ahqar's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Baad-e-sarsar Hai Nasim-e-gulistan Mere Liye In English By Famous Poet Hakeem Mohammad Husain Ahqar. Baad-e-sarsar Hai Nasim-e-gulistan Mere Liye is written by Hakeem Mohammad Husain Ahqar. Read famous Poem Baad-e-sarsar Hai Nasim-e-gulistan Mere Liye for youth and Student by Hakeem Mohammad Husain Ahqar. Free Download Baad-e-sarsar Hai Nasim-e-gulistan Mere Liye in PDF.