Aankhon Ne Haal Kah Diya HonT Na Phir Hila Sake

aankhon ne haal kah diya honT na phir hila sake

dil mein hazar zaKHm the jo na unhen dikha sake

ghar mein jo ek charagh tha tum ne use bujha diya

koi kabhi charagh hum ghar mein na phir jala sake

shikwa nahin hai arz hai mumkin agar ho aap se

dije mujh ko gham zarur dil jo mera uTha sake

waqt qarib aa gaya haal ajib ho gaya

aise mein tera nam hum phir bhi na lab pe la sake

us ne bhula ke aap ko nazron se bhi gira diya

'nasir'-e-KHasta-haal phir kyun na use bhula sake

(1052) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankhon Ne Haal Kah Diya HonT Na Phir Hila Sake In English By Famous Poet Hakeem Nasir. Aankhon Ne Haal Kah Diya HonT Na Phir Hila Sake is written by Hakeem Nasir. Read famous Poem Aankhon Ne Haal Kah Diya HonT Na Phir Hila Sake for youth and Student by Hakeem Nasir. Free Download Aankhon Ne Haal Kah Diya HonT Na Phir Hila Sake in PDF.