Zindagi Ko Na Bana Len Wo Saza Mere Baad

zindagi ko na bana len wo saza mere baad

hausla dena unhen mere KHuda mere baad

kaun ghunghaT ko uThaega sitamgar kah ke

aur phir kis se karenge wo haya mere baad

phir mohabbat ki zamane mein na pursish hogi

roegi siskiyan le le ke wafa mere baad

hath uThte hue un ke na koi dekhega

kis ke aane ki karenge wo dua mere baad

kis qadar gham hai unhen mujh se bichhaD jaane ka

ho gae wo bhi zamane se juda mere baad

wo jo kahta tha ki 'nasir' ke liye jita hun

us ka kya jaaniye kya haal hua mere baad

(4050) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Ko Na Bana Len Wo Saza Mere Baad In English By Famous Poet Hakeem Nasir. Zindagi Ko Na Bana Len Wo Saza Mere Baad is written by Hakeem Nasir. Read famous Poem Zindagi Ko Na Bana Len Wo Saza Mere Baad for youth and Student by Hakeem Nasir. Free Download Zindagi Ko Na Bana Len Wo Saza Mere Baad in PDF.