Mausam-e-hijr Ke Aane Ke Shikayat Nahin Ki

mausam-e-hijr ke aane ke shikayat nahin ki

ai mere dil tujhe kya ho gaya wahshat nahin ki

koi ilzam koi tanz koi ruswai

din bahut ho gae yaron ne inayat nahin ki

lafz ke shauq mein aisa bhi maqam aaya hai

juz kisi sher ki aamad koi hasrat nahin ki

jis ke nashshe mein koi hijr guzar aae hain

wo ghaDi wasl ki hum ne kabhi ruKHsat nahin ki

ab tujhe kaise bataen ki teri yaadon mein

kuchh izafa hi kiya hum ne KHayanat nahin ki

sare mear wafaon ke nibhae hum ne

us ko chhoDa to bahut soch ke, ujlat nahin ki

ishq dariya bhi samundar bhi kinara bhi halim

Dubne wale ko dekha hai to hairat nahin ki

(1217) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mausam-e-hijr Ke Aane Ke Shikayat Nahin Ki In English By Famous Poet Haleem Qureshi. Mausam-e-hijr Ke Aane Ke Shikayat Nahin Ki is written by Haleem Qureshi. Read famous Poem Mausam-e-hijr Ke Aane Ke Shikayat Nahin Ki for youth and Student by Haleem Qureshi. Free Download Mausam-e-hijr Ke Aane Ke Shikayat Nahin Ki in PDF.