Yun Bhi Kya Tha Aur Ab Kya Rah Gaya

yun bhi kya tha aur ab kya rah gaya

main akela tha akela rah gaya

hijr mein hai kaun kitna be-qarar

lekin in baaton mein ab kya rah gaya

maslahat kafir thi baz aai nahin

dil wo nadan tha ki rota rah gaya

saqi-e-umr-e-do-roza yaad rakh

meri jaanib se taqaza rah gaya

chaarasazo bhul jaunga use

ab sunao zaKHm kitna rah gaya

zindagi kuchh is tarah kaTti gai

jaise koi hath malta rah gaya

bhiD tanhai ki chhuTti hi nahin

har taraf chehra hi chehra rah gaya

maut kya aati bichhaD kar dost se

dekh lo 'almas' zinda rah gaya

(888) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Bhi Kya Tha Aur Ab Kya Rah Gaya In English By Famous Poet Hameed Almas. Yun Bhi Kya Tha Aur Ab Kya Rah Gaya is written by Hameed Almas. Read famous Poem Yun Bhi Kya Tha Aur Ab Kya Rah Gaya for youth and Student by Hameed Almas. Free Download Yun Bhi Kya Tha Aur Ab Kya Rah Gaya in PDF.